Pages

Tuesday, June 5, 2007

TAMANNAO KI MANZIL, KHWABON KA RAASTA

Hai tamannao ki manzil dur kahi
Dur kahi kisi ne jalaya hai chirag.
Hum unke intezar me hai, wo hamare
Chahe wo bhi ki bat le hamare sang
Zindagi ka sath.

Anginat baar maine use dekha hai
Uski sanson ko uski sanson me ghulte dekha hai.
Uski har dhadkan me apna naam suna hai
Par wo khwab hai, hakikat nahi, ye bhi jana hai.

Chahu ke wo kabhi aise mile
Ki kabhi bichad hi na paye hum.
Is janam kya
Janamo-janamo tak ek ho jaye hum.
Par pana bhi chahu to kaise
Ki tum to zindagi ki narm rahon me
Sajaye ek khwab ho.
Par phir bhi tum hi hamari har
Dhadkan ki awaz ho.
Tum bin jeena mumkin nahi
Na tumhe pana mumkin.
Zindagi ki har dagar tumhe khoje
Kya pata raat ya din hai.
Suraj khilkar tumhare pyar ki garmi ko batata hai
Chand ka deedar tumhare hathon ki narmi ko jatata hai.
Ye sabkuch par tum nahi bas isi baat ka gam hai.
Sath tumhare khwab hai aur hum hi hum hai.

Tumse hi har apl khushi ka
Matlab kya tum bin zindagi ka.
Bahon me bhar le sadiyo se arzoo ye hamari
Kaise kahe tadapti hai chahat hamari.

Zindagi ko zindagi ka naam tumse hai
Mera har din har shyam tumse hai.
Tumne hi hame jeena sikhaya, hasna sikhaya
Ab tumhari judaai ne rona sikhaya.

Ji rahe hai phir bhi kyonki dil main hai aas
Tumhe dekh paye ye is dil ki pyaas.
Man ka bandhan kabhi tode na tuta hai
Kya kahe kaise hum, jabse sath tumhara chuta hai.

Phir bhi tamanna hai dil me
Tumhe ek din pa hi lenge hum.
Khwabon ke raste par
Tamannao ki manzil payenge hum.
Ji rahi hu isliye dil me pyar hai tera
Har shyam sath laye intezar tera.

Tere bina zindagi se kuch maanga hi nahi
Tum mil jao to rab se tamanna hi nahi.
Tumhe pane ki arzoo hi dil me
Tumhare bina tanhai hai mehfil me.
Tum mil jao to kya gam hai
Dil me tum ho, tum me hum hai.

No comments: