Pages

Monday, June 5, 2006

Faasle

Us lamhe wo jo hame chod kar gaye
Aisa laga ki milo dur ho gaye.
Dil se awaz nikli
aur hum ishq me kho gaye.
Pas the unke phir bhi the fasle
Har kadam par the unginat raste.
Ek rasta jo hamari thi manzil
Wo unke sath hi shuru aur unhi par thi khatm.
Par wo rasta bhatak gaye hum
Aur ho gaye unse milo dur hum.
Ab dil me unhi ka pyar hai
Aur unke liye dil bekarar hai.
Kash hum unse ikrar kar pate
To wo sath hamara kabhi na chod kar jate.

Unki ek hi nazar dil ko kar gai ghayal.
Ankhon me tha ek sapna
Sang ho unke sath ghar apna.
Kyon nahi kiya unse ikrar
Kehti hai mujhse meri payal ki jhanakr.
Ankhon me hai khwab unka
Dil bhi hai bekarar unka.
Ae mere humnafas itni chahat kyon dil me chupakar baithe ho
Tum ikrar kyon nahi kar pate ho.
Ek bar kaha to hota
To aj shayad ye fasla na hota.
Par ye khwab hai ya hakikat hai
Unke sivaye aur kaun bata sakta hai.

Humne bhi ki thi ek bhul
Ek mauka humse bhi gaya tha chuk.
Agar hum unse ikrar kar pate
Unhe apna prar dikha pate
To shayad na hote ye fasle.
Unse kehte hum ki dil hamara hai bekarar
Pare hai ankhon se jhalakta beshumar pyar.
Unhe dekhte hi jhuk jati hai nazar
Par hoton pe rehti hai ek mand si muskurahat.
Kyon tumhe hai hal-e-dil sunana
Kyon itna sunne ke bad bhi tumhe hai jana.

Vo pehli pyar bhari nazar jab uthi
Dil me thi chingariya phuti.
Jab kisi se ki ye baat
To sabne socha wo hai mazak.
Humne kabhi unhe sach na bataya
Par jab pyar had se guzra to sabke samne aaya.
Par jise tha batana
Usne kabhi na jana.

Khuda se karti hu dua
Ki wo bhi hamare pyar ko jane.
Hume bhi wo ek nazae pyar se dekhen
To unki chahat ko hum bhi pehchane.
Dil me hai likha naam unka
Ankhon me hai khwab unka.
Chahte hai ki wo bhi hamare karib aaye
Aur hamari dhadkan me shamil ho jaye.
Par ye takalluf wo na kare
Iski bajaye hume hi bulaye.
Bate hum nahi humari ankhen karengi
Aur hatho ki lakeeren phir se banengi.
Unki sanso me shamil hona chahte hai
Unki bahon me khona chahte hai.
Rahe na hosh me
Chupaye unhe mohabat ke aagosh me.
Hamari zindagi jab unhi ke liye khatm hogi
To unhe bhi hamari kadar mehsoos hogi.

Labon pe unka naam hai
Par dil me unka pyar
Aisa kuch hamara jeevan
Par door hai unka sath.
Ab jo hum unse door hue to socha kai baar
Kya hamare dil ne maan li hai har?
Hum ab bhi unka intezar kar rahe hai
Aur qayamat tak karenge
Chahe wo hamare ho na sakeHum unhi ke rahenge.

1 comment:

kdeo said...

Awesome poetry yaar...
I wish that the melancholy note is just a part of your poetry only and the b'ful face has a jubilant heart inside.. :)
All the best !!